Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, September 14, 2011

Aadhi Tu Or Aadha Main

Aadhi Tu Or Aadha Main
Aa Ho Jaayen Milker Ek Se Hum
Aadhi Tu Or Aadha Main

Mujhme Se Nikal Ke Dekh Kabhi
Tu Mujhme Pighal Ke Dekh Kabhi
Teri Hasrat Ko Awaaz Mile
Teri Chaahat Ko Pervaaz Mile

Bujh Jaaye Mere Seene Ki Jalan
Aadhi Tu Or Aadha Main
Aa Baant Le Mujhse Apna Badan
Aadhi Tu Or Aadha Main

Honthon Ko Mila De Honthon Se
Mujhe Jaam Pila De Honthon Ke
Tere Labhon Pe Mera Naam Rahe
Mera Naam Subha Or Shaam Rahe

Her Roz Ho Tera Mera Milan
Kyu Aadhi Tu Or Aadha Main
Aa Baant Le Mujhse Apna Badan
Aadhi Tu Or Aadha Main

Saanson Ko Mila De Saanso Mein
Mujhe Tod Ke Rakh De Baahon Mein
Tere Jism Ko Mera Naam Mile
Meri Chaahat Ko Anjaam Mile

Mit Jaaye Seene Ki Chubhan
Aadhi Tu Or Aadha Main
Aa Baant Le Mujhse Apna Badan
Aadhi Tu Or Aadha Main

Apni Garmi Mein Jhulasne Ne Mujhko
Apni Julfon Mein Ulajhne De Mujhko
Aankhon Mein Utar Jaane De Mujhe
Apne Se Guzar Jaane De Mujhse

Tere Ishq Mein Hai Barbaad Karan
Aadhi Tu Or Aadha Main
Aa Baant Le Mujhse Apna Badan
Aadhi Tu Or Aadha Main............


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...