Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai
Na Muzda-E-Visaal Na Nazaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai
Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be Hijaab
Ae Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai
Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna
Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai
Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai
Ae Taaza Vaaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhen Hawas-E-Na-O-Nosh Hai
Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai
Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai
Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai
Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai
Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Main
Naa Vo Suruur-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai
Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui
Ik Shamma Rah Gai Hai So Vo Bhi Khamosh Hai
Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Main
‘Ghalib’, Sarir-E-Khaama Navaa-E-Sarosh Hai
No comments:
Post a Comment