Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 27, 2011

Main Dukhi Nahi Tha,

Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Jab Ek Toofan Meri Jindgi Ko
Or Mere Ashiyane Ko Ek Hi Pal Me Mita Gaya
Or Main Koi Shikwa Bhi Na Kar Saka Or Na Hi Shikayat,
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Jab Sab Log Puchte The Mujhe
Ki Main Sab Ke Saath Hote Huye Bhi Kahan Hun,
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Bhi Jab Aksar Main Jor Se Hansjaya Karta Tha
Apne ansuon ko chupane ke liye
Or Meri Ankhon Main Chupe Huye Ansu
Mere Rokne Par Bhi Meri Palkon Par Nahi Ruk Paate The,
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Bhi Jab Main sona chahata Tha
Or Main So Nahi Paata Tha,
Main Us Waqt Bhi Dukhi Nahi Tha,
Jab Tumhara Ek Sapna Mujhe Raaton Ko Bechain Kar Jata Tha,
Main Dukhi Nahi Tha,
Jabki Main Janta Tha Ki Meri Har Khushi Tum Thi
Meri Har Chahat Tum Thi Or Tum Hi Meri Nahi Thi.
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Bhi Jab Main Apne Hathon Ki Rekha Main Tumhai Pata Tha
Or Chahakar Bhi Unhai Mita Nahi Paata Tha,
Main Dukhi Kabhi Nahi Tha Kabhi Bhi Nahi.
Us waqt bhi nahi jab main hasna chahata tha ,
khush rahana chahata tha
or main aesa nahi kar paata tha...
 



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...