Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, August 24, 2011

Main akser usay kehat hon,

Main akser usay kehat hon,
Tum shor buhat Machati ho

Phir wo mujse kehti hay
Jab kalai meri tum pakro gay

Choori to meri khankay gi
Choori ka shor to hota hay

jab payar se mujay bulao gay
Tab Daur k main aaoungi

phir payal meri khanke gi
payal ka shor to hota hay

jab bindiya meri chamke gi
Ye aankh mein teri dhamke gi

Jazbay phir shor machayen gay
Jazbon ka shor to hota hay

Zulf meri suljhatay hoe
Jab ghajre ko bikhrao gi

Tab saansen meri mehken gi
Saanson ka shor to hota hay


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...