Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Maghroor hi sahi mujhay acha bohat laga

Maghroor hi sahi mujhay acha bohat laga
wo ajnabi to tha mager apna bohat laga

rootha howa tha hans to para mujh ko daikh ker
mujh ko to is kader bhi dilasa bohat laga

sehra main ji raha tha jo darya-dili k saath
daikha jo ghour se to wo pyaasa bohat laga

wo jis k dam-kadam se thi basti ki rounakin
basti ujar gai to akela bohat laga

lipta howa ho jaise kahar main khizaa ka chaand
mailay libaas main bhi wo pyara bohat laga

resham pahan k bhi maire keemat na barh saki
khadar bhi is k jism per mehanga bohat laga

"KAIS}{" jab aaine pai maire sanse jam gai
mujh ko khud apna aks bhi dhundla bohat laga..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...