Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 27, 2011

kaha naa piyar hay tum say

kaha naa piyar hay tum say
tu phir kiyo zid tumhari hay

kay jab bi tum milo muj say
yahi iqrar ho lab par

mujay tum say mohabbat hay
tumhay maloom hay jaana!!

mohabbat to mohabbat hay
yea tu Aankhoo may dhikti hay

haseen say Khwab ki soorat
yea tu aik phool sa jazba hay

kay jis may rang bi aur khushboowo ka sath hota hay

bohat inmool jazba hay
yea izhaar ki shidat ka talib bi nahi hota


bohat chup chaap jazba hay
dabay pawoo hi chala aata hay

magar jo naksh iss kay hay bohat hi gahray hotay hay

inhay kahna nahi parta
lab tu khamosh hotay hay magar izhaar hay hota

kabi Aankho ki shookhi say
kabi batoo ki khoshboo say
yea jazba chuup nahi pata

yea sab batain hay mairi jaana, tumhay maloom hi tu hay
tumhari hi kahi tu hay

tu phir kiyo zid tumhari hay kay jab bi
mea miloo tum say yahi izhaar ho lab par
mujay tum say mohabbat hay

magar tum janti ho na tumhari baat ko jaana
nahi main taal sakta hoon
chaloo ikrar karta hoon
mujay tum say mohabbat hay........
 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...