Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 22, 2011

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta haijisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai

khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo’n k mera hai usey hona bhi parhta hai

abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza’n aaye to phir rona bhi parhta hai

mujhey nindain nahee’n bhatee’n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

hamesha hansta rehta hon chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye to phir rona bhi parhta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...