Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 18, 2011

Hoke nisaar ishq me zindgi yoon sawar jaati hai,

Hoke nisaar ishq me zindgi yoon sawar jaati hai,
jaise koi mehndi piske haanthon ko rachati hai.

Mere mahboob pe sadqe jaaun ki ye ada hai uski,
apna bhi kahti hai mere gham pe muskurati hai.

Pahle khwabon me hi wo pahloo me hua karti thi,
ab to har shab ratjagon me hi guzar jaati hai.

Gar yahi sila hai muhabbat ka to manzoor hai mujhe,
ki mera ghar jalake wo zalim,apna dil bahlati hai.

Shayad aaj bhi uske dil me meri yaad aai hogi,
yoon laga koi aawaz mujhe door se bulati hai.

Wo banke dulhan chali magar ye khayal bhi rakha,
apni doli ki wo mere kaandhon me thamaati hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...