Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 29, 2011

Ek khwahish jise daba diya maine is dil mein..

Ek khwahish jise daba diya maine is dil mein..

tanhaiyo mein doobi rahi mai bhari mehfil mein...

meri manzil hi apna raasta kho gayi...

unke intezaar ki jab intehaan ho gyi....


Sagar se bhi gehra tha pyaar humara....

lehron pe likh diya tha naam tumhara...

meri kashti bhi saahil se anjaan ho gayi...

unke intezar ki jab intehaan ho gyi...


Hum kya kare ye to kismat ka ishara tha...

humne to dil se unko bahut pukaara tha...

shayad ye dil ki awaaz hi bezubaan ho gayi...

unke intezar ki jab intehaan ho gayi....


Lagta hai humari kismat ne to pehle hi de diya tha ishara....

in haatho ki lakeeron mein na tha jo naam tumhara...

na jaane kyu aisi dastaan ho gyi...

jo tumhare intezar ki intehaan ho gyi....


Umeedo ko dil mein zinda rakha tha humne...

par aansuo se aankhein pareshan ho gyi..

saansein lena bhi jaise ab saza ho gyi....

jo tumhare intezar ki intehaan ho gyi....
 
 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...