Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 23, 2011

Bujh Gai Shamma, Raat Baqi Hai

Aas Toti Hai,
Hayat Baqi Hai,
Bujh Gai Shamma,
Raat Baqi Hai,
Kiss Ko Jeene Ki Abb Tammana Hai
Intizar-e-Mumat Baqi Hai
Hain Wo Begana-e-Wafaa Lekin
Kuch Na Kuch Altafaat Baqi Hai
Sar Uthate Hain Nitt Niye Fittne
Shorash Kainat Baqi Hai
Hai Abb Ghaznvi Nehi Milta
Kafar Ka Somnaat Baqi Hai
Phir Koi Qes, Phir Koi Sehra
Wasat-e-shish Jahaat Baqi Hai
Phir Hai Dasht-e-Eraq Tashna Khon
Ishq Ki Kuch Zakaat Baqi Hai
Qessa-e-Ghum Abhi Tamam Nehin
Baat Guzari Hai, Baat Baqi Hai
"Kon Sunay Nazim Yahan Fasana-e-Dil
Yahan Har Dam Hijar Ki Wardaat Baqi Hai"
                  ( Nazim Ali)


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...