Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 20, 2011

Aye kaash kisi des se paigaam aaye koi,

Aye kaash kisi des se paigaam aaye koi,
mujhe bhi chahe aur dil mein basaye koi.
koi bechaini se karta ho mera bhi intezaar,
apni aankhon mein mere khwaab sajaye koi.
koi shikwa kiye bina hi mere naaz uthaye,
mein rooth jaoon to pyaar se manaye koi.
koi aisa ho jo har lamha mere deedaar ko tarse,
beqarari se mujhe paas bulaye koi.
koi mujhko bhi seene se lagane wala ho,
shararat kare aur mujhko sataye koi.
mera bhi is duniya se chale jaane ka waqt aaye ga,
mein mar jaoon to meri maut pe aansoo bahaye koi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...