Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 18, 2011

Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..

Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..

Zindagi ki musafit ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya…

Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya…

Guzra hua kal na tha mera,na hai mera our na ho ga kabhi…
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe…
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..

Aana paye the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi ………
tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...