Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 11, 2011

tere firaaq ke lamhe shumar karte huwe

tere firaaq ke lamhe shumar karte huwe
bikhar chale hain tera intezaar karte huwe

tu mein bhi khush hoon koi us se ja keh dena
agar woh khush hai mujhe beqarar karte huwe

tumhe khabar hi nahi ke koi toot gaya
mohabatoon ko payedaar karte huwe

Mein muskurata huwa aaine mein obroo ga
woh ro parey gi achanak singhaar karte huwe

Mujhe khabar thi ke aab laut kar na aaye ga woh
so tujh ko yaad kiya dil pe waar karte huwe

woh keh rahi thi samandar nahi aankhien hain
mein un mein doob gaya aitebaar kartey huwe

banhwar jo mujh mein parey hain woh mein hi janta hoon
tumhare hijar ke darya ko paar kartey huwe


1 comment:

  1. guzar jaye gi ye khamosh raat bhi gham-e-zindagi ki teha
    hota jo hamra koi apna to hamien bhi raat ka salam kehta
    ab so bhi jao k sapne tumhare intezar karte hain
    theek nahi is tarha khuwabon se dushmani karna
    Gooooooooood Nighttttttttttttttttttttttttt

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...