Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 23, 2011

Mare Bas main Ho Tu Kabhi Kahein

Mare Bas main Ho Tu Kabhi Kahein
Koi Shehar Aisa Bassoon Main
Jahan Sach ko Sach se Ho Wasta
Jahan Jugnowoon ko Hawa Dati Ho Rasta
Jahan Chand maand Na Ho Kabhi
Jahan Khushbooun se Badlti Rut Ko Hasad Na Ho
Jahan Pastiyon ko Bulandiyon se Kard Na Ho
Jahan Khawab Ankhon main Jagmagaein Tu
Jism-o-Jan k sabhi Dareechon main Tayragi ka Guzar Na Ho
Koi Raat Aisi Basar Na Ho
K Bashar Ko Apni Khabar Na Ho
Jahan Dagh Dagh Sehar Na Ho
Jahan Kashtiyan Hon Rawan Dawan
Tu Samandron main Bhanwar Na Ho
Jahan Barg-o-Bar se Ajnabi, Koi Shakh Koi Shajar Na Ho
Mare Bas main Ho Tu Kabhi Kahein
Koi Shehar Aisa Bassoon Main


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...