Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 6, 2011

Wo bhi mehfil mai akela hoga

Wo bhi mehfil mai akela hoga
aur mujhy dhondta phirta hoga
ik nazar daikh k paltu ga usay
meri har dost sy kehta hoga
rasty sakht rahain ya asan
sab ko ab sach tu batata hoga
Jab wo campus sy guzarta hoga
kuch usay yaad tu ata hoga
meri tasveer tasawar kar k
kis tarha palkain churata hoga
wo sabhi cards,wo tuhfay mery
wo unhy kasy jalata hoga?
Jab meri yaad statai ho gi
kaisy daman churata hoga?
wo nai nazam jo parhat hoga
ab kisay ja k sunata hoga?
fone ki bell kabhi bajti hogi
wo recevr ko uthata hoga
"Wohi ho gi tu laroon ga us sy''
har dafa farz ye karta hoga
''Apko ab meri yaad aii hai"
pehla jumla yehi kehta hoga
phir kisi dosri awaz pe wo
Kis tarha fone ko rakhta hoga?
Gaey lamhoon ka tasawar kar k
kasy ansoo wo chupata hoga?
wo jisay yaad ho rehta tha sab
wo mujhy kaisy bhulata hoga......?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...