Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 6, 2011

Poora Dukh Aur Aadha Chand

 •*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•...
*...*...*...*...*...*...*...*...*...*...*...*• :::::::: Poora Dukh Aur Aadha Chand! ::::::::::: •...*...*...*...*...*...*...*...*...*...*...*¸
.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸
poora dukh or aadha chand!
hijir ki shab or aisa chand!
din main wehshat behel gai thi
raat hui or nikla chand
kis maqtal se guzra hoga
itna sehma sehma chand
yadon ki aabad gali main
ghoom raha hai tanha chan
meri karwat par jag utthay
neend ka kitna kaccha chand
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chand
itnay ghane badal ke peche
kitna tanha hoga chand
aansu roke noor nahay
dil darya tan sehra chand
itne roshan chehre par bhi
suraj ka hai saaya chand
jab pani main chehra dekha
tu ne kis ko socha chand
burgad ki ek shakh hata kar
jane kis ko jhanka chand
badal ke resham jhoole
bhour samay tak soya chand
raat ke shane par sar rakhe
dekh raha hai sapna chand
sukhe patton ke jhurmat main
shabnam thi ya nannha Chand
hath hila kar rukhsat hoga
us ki surat hijir ka chand
sehra sehra bhatak raha hai
apne ishq main saccha chand
raat ke shayad aik baje hen
sota hoga mera chand!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...