Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, May 3, 2011

Main woh kis tarhan sy karoon bayan

Main woh kis tarhan sy karoon bayan
jo kiye gaye hain sitam yahan,

Sune kon meri ye dastaan
koi humnashi hy na raazdan,

Jo tha jhoot woh bana sach yahan
nahi kholi maine magar zuban,

Ye akelapan ye udasiyaan
meri zindagi ki hy tarjman,

Meri zaat zarra-e-benishaan ,
Meri zaat zarra-e-benishaan,

Kabhi suni subho main ghumna,
Kabhi ujri shamon ko dekhna,

Kabhi bheegi ankhoon sy jagna,
Kabhi beete lamhon ko sochna,

Magar aik pal hy umeed ka
hy mujhe khuda ka jo aasra,

Naa hi main ne koi geela kia,
Naa hi main ne di hy duhaiyan,

Meri zaat zarra-e-benishaan ,
Meri zaat zarra-e-benishaan,

Main bataoon kia mujhe kia mile
mujhe sabr hi ka sila mile,

Kisi aur hi ki rida mile
kisi dard hi ka sila mile,

Kisi gum ki dil main jagha mile,
Jo mera hy woh mujhe aa mile,

Rahe shaad uoonhi mera jahan
ke yakeen main badle mera gumaan,

Meri zaat zarra-e-benishaan ,
Meri zaat zarra-e-benishaan..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...