Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 6, 2011

¸.•♥•.¸¸.•♥• Main Aur Meri Awaragi •♥•.¸¸.•♥•.¸

¸.•♥•.¸¸.•♥• Main Aur Meri Awaragi •♥•.¸¸.•♥•.¸
Phirtay hain darbadar
kabi is nagar kabi us nagar
aik dosray k hamsafar
main our miri awargi
Na ashna har rahguzer
na mahrban har aik nazar
jain to ab jain kider
main our miri awargi
Ham b kabi abad thay
aisay kahan barbad thay
bay fiker thay azad thay
masror thay dilshad thay
Woh chaal aisi chal gia
hum buj gay dil jal gia
niklay jala k apna ghar
main our miri awaragi
jina bohot asaan tha
aik shakhs ka aisaan tha
hum ko b aik arman tha
jo khawab ka saman tha
Ab khawab hai na arzo
arman hai na jostojo
yoon b chalo khush hain
main our miri awaragi
Wo mahwish wo mahrooh
wo mahkamil hoobahoo
thin jis ki batain koobakoo
us say ajab thi goftgo
Phir yoon howa wo kho gai
tw muj ko zid si ho gi
lain gay us ko dond kar
main or miri awaragi
Yah dil hi tha jo sah gia
wo bat aisi kah gia
kahnay ko phir kia rah gia
ashkoon ka darya bah gia
Jab kah k wo dilbar gia
tiray liyah main mar gia
rotay hain us ko rat bar
main or miri awaragi
Ab gam uthain kis liya
ansoo bahain kis liya
yah dil jalain kis liya
yoon jan gunwain kia liyah
Paisha no ho jis ka sitam
dondain gay ab aisa sanam
hoon gay kahin to kargar
main or miri awaragi
Asaar hain sab khot k ,
imkan hain sab choutt k ,
ghar band hain sab got k .
ab khatm hain sab totkay
Jab hamdam o hamraz tha
tab or hi andaz tha
ab sharm hai tab naz tha
ab soz hai tab saz tha
Ab muj say ho to ho b kia
pas wo to wo b kia
aik bay hunar aik bay samar
main or miri awaragi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...