Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 2, 2011

Kaha tha na...!!!

Kaha tha na...
is tarha sotay hoye chor ke mut jana
mujhe be-shak jaga dena
bata dena
ke tumhain rasta badlna hai
mairy hud se nikalna hai
Tumhain kis baat ka dur tha ??????????
kia main janay nahien daiti?
kahien pe qaid ker laiti?????
aaray pagal muhabbat ki tabiyat main
zaberdasti nahien hoti
jisay rasta badlna hai
usay rasta badlanay se
jisay hud se nikalna ho
usay hud se nikalnay se

na koi rok paya hai na koi rok paye ga
tumhaien kis baat ka dur thaaa???????

mujhe jaga daitay
bus yeah yaad rakhna
ae hum dum ab in jagti Aankhoon main
khuwab tumharay hi bastay hain
in Aankhoon ke ansoonoon main
tumhary yaadoon ke deep
ban ke moom chalaktay hain

 bus yaad yeah rakhna ae mairay hum dum
in Aankoon ki roshni ke bujhnay tuk
main intizar ke deep jalaon gi
mairay ghar ke rastay pe
teray qadmoon ki ahat ko sun ke hi jaon gi
apni sansoon ke thumnay tuk
apnay jism ke mernay tuk
tujhe dil main basoongi
bus teri kehlaoon gi
 ke sansoon ke thamnay ki wajha bhi sirf yeahi ho gi
"is duniya main na sahi , agli duniya main to tum mairy ho gy"...

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...