Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 9, 2011

Jo chal sako to koi aise chaal chal jana

Jo chal sako to koi aise chaal chal jana
mujhay guman bhi na hoo aur tum badal jana

yeh shoulagi ho badan ki too kia kiya jaye
so lazmee tha tere perhan ka jal jana

abhi abhi to judai ki sham aaye thi humain
ajeeb laga zindagi ka dhall jana

saji sajaye hoi maut zindagi to nahin
moorekhoon nay mokaaber ko bhi mahal jana

yeh kiya kay to bhi issi sahat-e-zawal main hai
kay jiss tara say sabhi soorajon ko dhall jana

har eik ishq kay bad aur uss kay ishq kay bad
FARAZ itna bhi asan na tha sambhal jana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...