Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 2, 2011

Hijar ka Tara doob chala hay

Hijar ka Tara doob chala hay
Dhalne lagi hay raat wasi
Qatra qatra baras rahe hai.
Ashkon ki barsat wasi
Tere bad mujko ye dunya wale
Mujhko Pagal kar dein gey
Khushboo k des me mujko
le chal apne sath wasi
Yun he chup ki mohar laga kr
kab tak gum-sum betho gey
khamoshi se dam ghutta hay
Chero koi bat wasi
Aaj to uska chehra b kuch
badla badla sa lagta hay
Mausam badla, Dunya badli.
Badal gaye halaat wasi
Mere ghar ye khushboo ka
raqs usi k he dam se hai
Uske sath h chali jaye gi
Phuloon ki barat wasi
Chor wasi ab unki yadein
tujko pagal kar dein gi
Tu qatra hai, wo darya hai....
Dekh Apni Oqat wasi..........!!!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...