Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 26, 2011

Roshni ki dhaar par rakhi kahani, or dukh.

Roshni ki dhaar par rakhi kahani, or dukh.,
Aankh se behta huwa khamosh pani,or dukh.,
Meray kamray mein usi tarteeb se rakhay huway,
Phool,khat, wa'day,dilasay,ik jawani,or dukh..,
Aik doojay se bicharr kar umar bhar rotay rehay.,
Raat,sehra, khushk pattay, aik rani,or dukh..,
Ab meray lafzon mein wo pehli c kaifiyat nahi..,
Daal ab jholi mein meri, mehrbani Or dukh..
Raat sehra mein kisi ne baa'nsuri ki hook par.
Chairr dee'n roti hui,yadain purani,or dukh

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...