Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 27, 2011

Kaho phir kya kiya jaye ?

Kaho phir kya kiya jaye ?
Mujhe tum achay lagtay ho
Tumhen main Achi lagti hon
Kaho Phir kya kiya jaye?
Tumhari jagmagati, Muskurati,...
Geet gati, Dil ruba Aankhen
Buhat gehri Badi qatil nihayat
Kushnuma Aankhen
Mere Dil se meri Be’tabiyon se
Khelti Aankhen
Khamoshi ki zuban main
mujh se kya kuch Bolti Aankhen
Bazahir Doston main Khil-khilati
Chor Nazron se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunti Aankhen
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhen
Ye sab Baten btati hain
Main tum ko Achi lagti hon
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazren
Ada-e-be’niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si be’ittifaqui
be’rukhi k sir pe ek
Mohoom se khuwahish
Mujhe han, mujhe
yun hi Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil Chusp si koshish
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dar se
Be’irada gher ehem Logon se
Rasm-e-guftogu karna
Ye sab Baten btati hain
Tumhen main Achi lagti hon
kaho phir iya kiya jaye?
Mere be’sakhta fikre
mere Lehjay ki har Shokhi
Mera har waqt har ek Simt
tum ko Dhundte rehna
Nazar parte hi tum par
Zoor se Dil ka Dharak uthna
Ye sab baten btati hain
Mujhe tum Achay lagtay ho
Tumhen main Achi lagti hon
Kaho phir kya kiya jaye?
Hamare Darmiyan Rasmon, Riwajon ka
Samaji martabe ka Umr ka aur Khandanon ka
Buht gehra khala hai
Usay Kaise pur kiya jaye?
Kaho phir kya kiya jaye?
Kaho phir kya kiya jaye?..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...