Tum jab aaogi,
to khoya hua paaogi mujhey..
Meri tanhaai me,
khuwabon k siva kuch bhi nahi..
Mere kamrey ko
sajane ki tamanna he tumhey...
Mere kamrey me
Kitaabon k siva kuch bhi nahi....!!
Aalam-E-Mohabbat Main...
Ik Kamal-E-Wehshat Main
Be-sabab Rafaqat Main
Dukh Uthana Partaa He...,
Titliyan Pakarne Ko
Duur Jana Parta He.......!!!
Dunya me Qateel
us sa Munafiq nahi koi..
Jo Zulm to sehta he
Baghawat nahi krta..!!
Itney Achhey Mousam Me
Roothna Nahin Acha...
Haar Jeet Ki Baaten
Kal Pe Hum Utha Rakhen...
Aaj DOSTI Kar Len...!!!
Chup Ghalat Faisley Kara Degi..
Boliye!! Warna Masla Ho Ga....!
Us ne apni saari qeeemti cheezen
Utha kar Sambhaal leen..
Siwaye...
Merey...!!
Kitni dil-kash he uski khamoshi...
Saari baaten fazool hon jesey...!!
Childhood Memories
بُلبُل کا بچہ
کھاتا تھا کھچڑی
پیتا تھا پانی
گاتا تھا گانے
میرے سرہانے
اک دن اکیلا
بیٹھا ہوا تھا
میں نے اڑایا
واپس نہ آیا
بُلبُل کا بچہ —
Is Shart pe khelungi
Pia Pyaar ki baazi.......
Jeetun to tujhey paaun...
Haarun to pia teri..!!
Sapna aage jaata kaise.............!?!
Chhota sa ek gaaon tha jis me...
Diye the kam aur bohot andhera
Bohot shajar they ,thode ghar they..
Itni bari tanhaaee thi jis me..
jaagta rehta tha dil mera
bohot qadeem firaq tha jis mein..
Ek muqarrar hadd se aage
soch na sakta tha dil mera
aisi surat mein phir dil ko
dheyaan aata kisi khuwab mein tera..
Raaz jo hadd se barh kar tha
apna aap dikhata kaise..!?
sapne ki bhi hadd thi aakhir
sapna aage jaata kaise.............!?!
Ajnabi khawahishein
seeney me daba bhi na sakun..
Aise ziddi hain parindey
k urra bhi na sakun....!!!!!!!
Muhabbat, Hijr, Nafrat,
sab mil chuka he mujhey..
Main ab taqreeban
mukammal ho chuka hoon.......!!
Kis qadar
ehtmaam krte ho..
Dil dukhana
sawab ho jesey...!
Pura Chaand
aur teri yaaden..
Dono
meri neend ki dushman....!
Phal to sab mere darakhton k
pakkey hain lekin..
Itni kamzor hain
shaakhen k hila bhi na sakun....!!
Muhabbat moam he lekin...
Mujhey Pathar bana daala...!!
Mujh se Bichhar Ke
Shehr Me Ghul Mil Gaya Vo Shakhs..
Halaankey Shehr Bhar Se
Adawat Usey Bhi Thi.....!!!!!!!
Sau baar kaha maine,
inkaar he ulfat se..
Har baar sada aayi,
tu dil se nahi kehta...!
Chand Sansein
Kharidne K Liye
Roz Thori Si
Zindagi Bachiiiiiii
Kis k hen ?
Bass Tumharey hen..
Us k ye lafz
kitney pyaarey hen..!
Kya khoob hota
k Yaadain rait hotin..
Mutthi se gira detey...
Paaon se urra detey...!!
Me nehi maanti
Kaghaz pe likha Shajra-e-Nasb,
Baat karney se
qabiley ka pata chalta he....!!!!
Raah me lutt ke
bethney waalon..
Ab kisi ko na
Hum-safar kehna..!!
Haan!
Muhabbat tamam us pe hui,
Ab jo hogi
wo dil-lagi hogi ......!!!
Barish aur Aansoo...
Ek Farq
Zaiqey ka... !
Ek Lamhey k Liye
Haath Raha Haathon Main...
Ek Lamha Wo
Meri Zeest Ka Haasil Thehra...!!
بارہواں کھلاڑی
خوشگوار موسم میں
ان گنت تماشائی
اپنی اپنی ٹیموں کو
داد دینے آتے ہیں
اپنے اپنے پیاروں کا
حوصلہ بڑھاتے ہیں
میں الگ تھلگ سب سے
بارہویں کھلاڑی کو
ہوٹ کرتا رہتا ہوں
کیا عجب کھلاڑی ہے
کھیل ہوتا رہتا ہے
شور مچتا رہتا ہے
داد پڑتی رہتی ہے
اور وہ الگ سب سے
انتظار کرتا ہے
ایک ایسی ساعت کا
ایک ایسے لمحے کا
جس میں سانحہ ہو جائے
پھر وہ کھیلنے نکلے
تالیوں کے جُھرمٹ میں
ایک جملہ خوش کن
ایک نعرہ تحسین
اس کے نام پر ہو جائے
سب کھلاڑیوں کے ساتھ
وہ بھی معتبر ہو جائے
پر یہ کم ہی ہوتا ہے
پھر بھی لوگ کہتے ہیں
کھیل سے کھلاڑی کا
عمر بھر کا رشتہ
چھوٹ بھی تو سکتا ہے
آخری وِسل کے ساتھ
ڈوب جانے والا دل
ٹوٹ بھی تو سکتا ہے
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi K Door Jane Se
Ta'Luq Toot Jane Se
Kisi K Maan Jane Se
Kisi K Rooth Jane Se...
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Azmaane Se
Kisi K Azmaane Se
Kisi Ko Yaad Rakhne Se
Kisi Ko Bhool Jane Se....
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Chhor Dene Se
Kisi K Chhor Jaane Se
Na Shama Ko Jalane Se
Na Shama Ko Bujhane Se...
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Akele Muskrane Se
Kabhi Ansoo Bahane Se
Na Is Saare Zamane Se
Haqeeqat Se Fasaane Se...
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ki Naarsai Se
Kisi Ki Paarsai Se
Kisi Ki Bewafai Se
Kisi Dukh Intehai Se....
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Na To Is Paar Rehne Se
Na To Us Paar Rehne Se
Na Apni Zindagi Se
Na Ik Din Mout Aane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta......!!
No comments:
Post a Comment