Kiya Tha Shair Mein Zikar Us Ke Arz-e-Lab Ka
Wo Aik Shakhs K Mehboob Ho Gia Sab ka
Abb Us Ka Naam-u-Nishan Pochte Ho Kiya Mujh Se
Mujhe Tou Us Ne Faramosh Kar Diya Kab Ka
Wo Doston Ko Badalta Hai Fashionoon Ki Tarhaa !
Laabaada Chahiye Is Ko Tou Apne Matlab Ka
Libaas Mein Bi Barhnaa Hai Is Ka Sara Badan
Bana Hai Shehar Mein Wo Markaz-e-Hawas Sab Ka
Wo Sayah Sayah Shuwaein Pehan Ke Phirtaa Hai
Nizaara Kon Kare Is Ki Taab Or Tab Ka
Humein Tou Dhoop Se Chaheron Ne Duss Liya Ayub
Jahan Mein Naam Hai Badnaam Zulmat-e-Shab Ka
No comments:
Post a Comment