Kabhi Gham yun bhi hota hai
K sansain toot jati hain
Kisi ki raah tak tak ker
Nigahain sookh jati hain
Jinhen ana ho jeewan main
K sansain toot jati hain
Kisi ki raah tak tak ker
Nigahain sookh jati hain
Jinhen ana ho jeewan main
Wohi aanay nahi patey
Jinhen ana ho khuwabon mein
Woh rastay bhool jatay hain
Kabhi Gham yun bhi hota hai
Jahan dil apna khilta hai
Wahin mausam badalta hai
Humain jo naam lena ho
Amanat aur ki ho woh
Humain jo baat kerni ho
Sira woh mil nahin pata
Kabhi Gham yun bhi hota hai
Jahan phoolon ki aahat ho
Khizan bhi tan k aati hai
Koi dharkan sunaaye gi
Humain kya raaz ki batain
Kabhi jab aankh dil per ho
To Dil hi mil nahin patey
Kabhi Gham yun bhi hota hai
K lawaa beh nahiN pata
Khwahish aisi hoti hai
Mager hum roo nahi saktey
Sar-e-maqtal kharay ho ker
Kabhi Tum ko pukarain to
Sada’ain mil nahi saktiin
Kabhi Gham yun bhi hota hai
K mar janey ko Dil chahay
Koi marney nahi deta
Kabhi Gham yun bhi hota hai
Humain hi gham kyun hota hai
Usay Gham kyun nahi hota!!!!!!!!!!
˙٠•●♥ Still Alive ♥●•٠˙
No comments:
Post a Comment