Khair Faiday Tu Mujhe Kabhi Bhi Kisi Se Nehin Aaye
Kehin Aisa Na Ho K Jo Ye Sayah Muyesser Hai Wo Bhi Na Aaye
Jore Rehay Aik Muddat Se Tere Sath Hum
Kitne Nadaan The k Kabhi Tere Dil K Ander Na Aaye
Han Bholay Se Bhi Kabhi Nehin dekha Maine Un Ko
Jo Khwab Teri Sohneri Ankhon Se Ho Kar Nehin Aaye
Kese Bhartay Humare Rishtay Apas Mein
Kabhi Hum Tu Kabhi Tum Jo Khud Se Bahar Nehin Aaye
Main Tu Sab Kuch Lotane Ko Tiyaar Betha Tha Lekin
Acha Hua Jo Tumhein Muyesser Apne Halaat Nehin Aaye
Shayad Abhi Ghomand Hai Unhein Sath Deti Hawa Ka
Hum Tu Khush Hain, Jiss Matti K The Hum,
Us Matti Se Bahar Na Aaye
Nazim Mujhe Kisi Se Koi Shikwaa Tu Nehin
Chamak Sakein Jiss Mein Hum
Wo Waqat Ke Dhare Abi Nehin Aaye
Aye Dil-e-Nadan Kuch Pal Or Thehar Jaa
Kuch Lafaz Aise Hain Abhi Jo Meri Shayari Mein Nehin Aye
( Nazim Ali )
( Nazim Ali )
No comments:
Post a Comment