Ab koi ghazal suna bhi do
youn haal e dil bata bhi do
karo ghazal me tareef bhi
mujhe ghazal me gila bhi do
na ye ke sirf shikwe likho
ashaar me meethi sada bhi do
dil se ameen keh dengen
tum bhale hi bad dua bhi do
bin tere bol dil zakhmi hai
zariya e ashaar dawa bhi do
bohot sannaata hai dil me
aa ker shor macha bhi do
achhi nahin ishq ki sar e aami
do chaar raaz chupa bhi do
karo kamal ghazal sada rakho
aur sajne ki ise ada bhi do
bohot log sach chupane lage
ab apni qalam chala bhi do
inki sadagi dosti mein shamil rakhegi
kabhi Chirag Hein jala bhi do
No comments:
Post a Comment