Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, January 25, 2012

Jinki Yaad Hai Dil Me Nishaani Ki Tarah
Woh To Bhool Gaye Hume Kahani Ki Tarah


Gamo Mai Bhi Muskurana Chahta Hoon Mein
Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hoon Mein
Magar Na Jane Kyon Nikal Ate Hain Ansoo
Jab Bhi Tumhe Bhulana Chahta Hoon Mein!


Hum Doston Ko Bhulate Nahi Hain
Magar Yai Bat Jattate Nahi Hain
Doston Ki Hamesha Rakhtay Hain Yaad
Hum Bhulnay K Liye Dost Banate Nahi Hain


Ham Ne Kab Un Say Mulaqat Ka Waada Chaha
Door Reh Kar To Unhe Aur Bhi Ziyada Chaha
Yaad Aaye Hamen Aur Bhi Shidat Say Who
Bhool Jane Ka Unhe Jab Bhi Iraada Chaha


Ruthna Mat Hume Manana Nahi Aata
Diye Mat Jalana Bujhana Nahi Aata
Tum Bhul Jao, To Tumhari Marzi
Hamein To Yoon Bhulana Bhi Nahi Aata


Man Me Apki Har Baat Rahegi
Basti Choti Hai Magar Aabad Rahegi
Chahe Hum Bhulade Is Zamane Ko
Per Apki Ye Dosti Hamesha Yaad Rahegi


Har Waqt Muskurana Fitrat Hai Hamari
Ap Hamesha Khush Rhen Hasrat Hai Hamari
Hum Apko Yad Yad Ayen Na Ayen
Apko Yad Krna Adat Hai Hamari



Itni Jaldi Daaman Chor Diya
Itni Jaldi Vaada Tor Diya
Abhi To Zindagi Ki Sansein Hai Baaki
Aur Aapne Abhi Se Yaad Karna Chor Diya


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...