Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, January 23, 2012

Is se ziyada aur kya main janab likhon..

Ji chahta hai tere naam aik kitab likhon ..
Is kitab ka tere naam intisab likhon .. 
Tujhey sharminda karne ke liye main is main ..
Tera aur mera, be baak hisab likhon .
Main soch soch kar pagal sa ho gaya hoon ..
Jhele hain jo tere gham main ne, kaise woh azaab likhon ...
De gi meri zindagi ko andhere wohi ..
Khuahish thi jise main aaftab likhon ..
Jo diye hain tu ne kanton ke bistar mujhey ..
Bohat mushkil hai in kanton ko gulab likhon ..
Mujh se munafqat na ho sake gi dil ki baat main ..
Dukhon ke samandar ko main kaise sarab likhon ..
Ajab karb main mubtila kar diya tu ne mujhe ..
Samajh nahi aata tere khat ka kya jawab likhon ..
Lafz to sab hi mita diye hain mere aansowon ne ..
Apni kahani ab main kaise teh-e-aab likhon ..
Aik aik lafz yaad hai mujhey teri guftugu ka ..
Khuwahish hai teri har baat ko khitab likhon ..
Jis ki tabeer bhi na mil saki mujh ko aye jana ..
Main apni kitab main kaise woh khuwab likhon ..
Lakhon chehron se haseen banaya tujhe khuda ne magar ..
Jo mera nahi us chehre ko kaise mahtab likhon ..
Yak tarfa faisla sunaya adalat-e-uzma ne ..
Main is jajj ko kaise izzat-e-mab likhon ..

Har baat to dil ki keh dali hai 
. Is se ziyada aur kya main janab likhon..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...