Ik larki,
Pagli si deewani si,
Masoom si anjaani si,
Apne ghar ki munder per bethi,
In galiyon aur chaurahon ko,
In koochon aur bazaron ko,
Dekhti hai,
Jahan isne apna bachpan guzara tha,
Iski ankhon mein tha tha, intizaar…
Kisi ka!
Magar isey kon samjhaye,
Ke bachpan ke vaade to,
Kachi daur ki tarah hote hain,
Aur…
Bhala jane wale,
Kab laut kar aate hain!
No comments:
Post a Comment