Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, December 23, 2011

Hont darya ke sookhey reh gaye

Milte milte adhoori khushi reh gayi
Meri ankhon mein thori nami reh gayi

Hont darya ke sookhey reh gaye
Tishna lab chal diya, Tishnagi reh gayi

Kon sunta bhala us ki awaaz ko
Charon janib hawa cheekhti reh gayi

Phir makanon ke malbey mein sab dher they
Jab khuli ankh tou bass khuli reh gayi

Jese mein us ke khawbon ki tabeer hoon
Us ne dekha mujhe dekhti reh gayi

Dhoop ne chutkiyaan ke tou kuch bhi na tha
Apne jugnu ko woh sochti reh gayi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...