Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, December 10, 2011

ab wo toofan hai na wo shor hawaon jesa

ab wo toofan hai na wo shor hawaon jesa,


Dil ka aalam hai tere baad khalaon jesa....

Kaash duniya mere ehsas ko wapis kar de,


Khamoshi ka wahi andaz, Sadaon jesa.
... ... ...
Paas reh kar bhi hamesha wo bahut duur mila,


Uska andaz-e-taghaful tha Khudaon jesa.

Phir teri yaad k mosam ne jagaye mehshar,


Phir mere dil mein utha shoar hawaon jesa.

Baar'ha khwab mein pa kar mujhe pyasa mohsin


Uski zulfon ne kiya raqs ghataon jesa








No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...