Aas dil main nahi aankhon may koi pyas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi
Zindagi hay keh lapakta hua shola hay koi
Jal bujha jis may meray dil ka haseen taaj mahal
Tujh ko apnanay ki khwahish tujhay paanay ki lagan
Ab hai jesay koi jhulsa hua be rang kanwal
Gard-e-alam say mamoor hein ab wo raahein
Jin say guzray thay kabhi saath hum hanstay hanstay
Zehr-e-tanhai bhi ab dil pe asar karta nahi
Thak gai gham ki syah raat bhi dastay dastay
Meri afsurda jawani pe amaavas ki yeh raat
Aur ta hadd-e-nazar aas ka jugnoo bhi nahi
Apni marhoom tamannaon pe maatam kay liye
Haif ab aankhon kay kashkool may aansoo bhi nahi
Apnay kaandhay pe liye apni tamannaon ki laash
Ghoomta phirta hoon aabadi main veeranay main
Koi aisa nahi jo rok lay itna poochay
Kon ho? Kis liye aawara ho? Kya dukh hay tumhein?
Sochta hoon mera jeena bhi koi jeena hay
Aik hi sur main jo bajta hay wahi saaz hoon main
Kho gaya hoon main gham-e-zeest kay sehraaon main
Mujh ko aawaz na do gum shuda aawaz hoon main
Aas dil main nahi aankhon may koi pyas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi
No comments:
Post a Comment