Badi khwahish hai ke use dekhe
Jo us parde ke peeche hai
Samajhta hai jo meri khwahish
Na jane kyo aankh meeche hai
Na dil karib hi hai na dil se door hi hai wo
koi jadu koi sapna
wo koi dillagi si hai
kabhi but sa chup hai
kabhi sagar sa machalta hai
kabhi subah ki kiran sa hai
kabhi raat ki bebasi hai
kabhi giri sa atal hai wo
kabhi bachche sa masum hai
kabhi jhalkata ansu hai
kabhi wo dheemi si hasi hai
kabhi jo roothti hu main
mujhe der tak manata hai
kabhi mujhse kafa hokar
wo bhi aankhe churata hai
jo milo us se tum
toh kehna ke hum khoye hain
uske intezaar me na jane kitni baar roye hain…
No comments:
Post a Comment