Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?
--Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina--
Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina--
Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo.
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina
Tum mera badan odh kay phirtay raho-
LEKIN|Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina
Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee..
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina
Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein..
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina
Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina
Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina
No comments:
Post a Comment