Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Youn teri tammana mere dil ko dukhaati rahi



Youn teri tammana mere dil ko dukhaati rahi
Jab bhi muskuraana chahaa aankh bhar aati rahi
Umeedon ne banaa-banna ke tode mere khwaab
Baharon mein dil ki kali khil ke murjhaati rahi..

Thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se..
Aag paani se mil ke dhuven khoob udaati rahi
Na milaa koi saharaa hi na thaama kisi ne haath
Zindagi kadam-kadam pe thokaren khaati rahi.

Ab kuch nahin hai baaki unki chaahat ke sivaa
Aise gaye hain voh ke dil ki har khushi jaati rahi
Honth to dekhe mere tune muskuraate ae sanam
Zara dekh leta aankh bhi jo ashq bahaati rahi

Vo khaa kar gaye thi kasmein ise bhuul jaane ki.
par mujhko phir bhi uski yaad kyon aati rahi.?


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...