In Jheel si gehi aankhon mein..
Ik sham kahin abaad to ho
Us jheel kinaray pal do pal
Ik khawb ka neela phool khilay
...Wo phool baha dein lehron mein
Ik roz kabhi hum sham dhaley
Us phool k behte rangon mein
Jis waqt lazarta chand chalay
Us waqt kahin un aankhon mein
Us bisray pal ki yaad to ho
In jheel si gehri aankhon mein
Ik shaam kahin abaad to ho..
Phir chahy umer samandar ki
Har mauj pareshaan ho jaye
Phir chahe aankh dareechay se
Har khawb guraizaan ho jaye
Phir chahe phool ke chehre ka
Har dard numayan ho jaye
Us jheel kinarey pal do pal
Woh roop nagar ejaad to ho
Din raat ke is aainay se
Wo aks kabhi azad to ho..
In Jheel si gehri aankhon mein..
No comments:
Post a Comment