Dil Ki Hasrat
Kuch to tanhayi ki ratoon main sahara hota
Tum na huwe na sahi zikar tumara hota
Zindagi kitni musarat se guzarti yarab
Aish ki tarah agar gham bhi gawara hota
Gham e ulfat jo na milta gham e hasti milta
Kisi sorat to zamane main guzara hota
Kis ko fursat thi zamane k sitam sahne ki
Agar na us shokh ki aankhon ka ishara hota
Koy humdard zamane main na paya
Dil ki hasrat hi rahi koy hamara hota
No comments:
Post a Comment