Qurbat bhi nahi dil say utter bhi nahi jata
Woh shakhs koi faislaa ker bhi nahi jata
Ankhain hain k khali nahi rahti hain lahoo say
Aor zakham-e-judee hai kay bhar bhi nahi jata
Woh rahat-e-jaan hai magar is dar-badri main
Aaisa hai k aab dheehan udher bhi nahi jata
Hum doharee aaze'et k hain giraftar musafir
Pa'oon bhi hain shal,shoq-e-safar b nahi jata
Dil ko tari chahat pay bharosa bhi bohat hai
Aor tujh say bhichd janay ka dar bhi nahi jata
Pagal howay jatay ho Faraz us say milay kia
Itni see khushi say koi mar bhi nahi jata
No comments:
Post a Comment