Phir Maazi ka Daman Wasee hua
Phir Maazi ka Daman Wasee hua
Phir Aaj ka Suraj Doob gaya
Phir Yaad kay Phool Chand aur Khilay
Phir yaron ka Saath Chhoot gaya
Kal say jo Mun Chhupaaya tha
Lo Aaj woh Bhaanda Phoot gaya
Barson Jo hum Nay guzaar Dyay
Ik Sapna tha jo Toot gaya
Ab Ummeed hay Kal kay Suraj ki
Jo Din Naya Dikhlaay ga
Nayi Jaghayn lay jaay ga
Yaar nayay banwaayga
Guzray Kal ki yaadain Lekin
Humain Bhulwaa na Paayga
Wo Suraj Humain Behlaayga
Par hamesha na Reh paayga
Phir maazi ka daman Wasee hoga
Phir Yeh suraj doob jaayga
You might also like:
Phir Kabhi Logonki Baaton Mein Nahi Aayega Wo
Us ki Aankhon mein Mohabbat Ka Sitara Ho Ga
Us ki Aankhon mai Mohabbat ka Sitara hoga
agar Hum Dost Hotay To
Abhi Kuch Der Baqi Hai
Jab bhi aate hay wo mayray dehaan main
Jab bhi aate hay wo mayray dehaan main
Phool rakh jate hay roushan daan main
Ghar kay baam o dar naye lagnay lagay
Husan aisa tha meray mehmaan main
Tera chehra Aaenay kay saamnay
Or Aaena naye Imkaan main
Aks teray,tayri khushboo ,teray rang
Bas yehi kuch hay meray samaan main
Jisim o jaan ko taaza mousam mil gaye
Jal gaya main teray Aatish daan main
Aandhiyoon main bhi uraata hay mughay
Koun hay ye meray jisim o jaan main
Jan darakht Angnaaye kay jalnay lagay
Dhoop utar aaye meray dalaan main
Tittliyaan kamray kay under Aagyen
Aik phool aisa bhi tha gul daan main
Aajnabi khuwaboon ka soorat gar hon main
Or main gum hoon teyri pehchaan main
Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho
dil mein ab yun tere bhule huye Gam aate hain
Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Dobtay Soraj Ki Tarhan Yeh Zindagani Hay
Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad
Sochoon Tu Woh Sath Chal Raha Hai
Sochoon Tu Woh Sath Chal Raha Hai
Dekhoon Tu Nazer Badal Raha Hai
Kyun Baat Zabeen Say Kah Kay Koee
DIL Aaj Bhi Hath Mal Raha Hai
Ratoon Kay Safer Main Waham Sa Hai
Yah Main Hoon Kah Chaand Chal Raha Hai
Ham Bhi Teray Badd Jee Rahay Hain
Or Tu Bhi Kahi Behal Raha Hai
Samjha Kay Abhi Gaee Hain Sakhyaan
Or DIL Hai Kah Pher Machal Raha Hai
Phele Se Woh Roshni Nahi Aamir
Kia DARD ka Chaand Dhal Raha Hai
nazar se door hota ja raha hai
GaM-E-Hayaat Ka Jhagda Mita Raha Hai Koi
Woh mujh ko chorr jaana chahta hai
Tere Mere Beech Wafa Ka Rishta Hai,
Sun to sahi, jahan men hai tera fasana kya?
Suno Tum Lot Aao Na
Suno !!!
Suno Tum Lot Aao Na
Jahan tum ho wo dunia kab tumhari hai
K soraj dhal gaya ha
Aur Haseen ik sham utri hai
wo dekho chand nikla hai sitary jagmgaey hain
Humari Muntazir Ankhen Duaian mangti Ankhen
Tumhain hi sochti Ankhen
Tumhain hi Dhondti Ankhen
Tumhain Wapis bulati hain
Tumara Aks phir shaid
Meri palkon main utra hai
Koi Ansoo ager aya
Baha ker ab na le jaey
Ye Dil jab bhi dharkta hai tumara nam Leta ha
Ye Ansoo jab bhi behty hain Tumharay dukh main behty hain
K barish jab bi hoti ha tumhay hi yad karti ha
Khushi koi jo aaiea gi tumary bin adhoori ha
Suno Tum Lot Aao Na
Suno Tum Lot Aao Na !!!
You might also like:
UB KABHI tera Dil ghabraey LOT anna
Aao. or na socho
Fir Aake Chale Jaana, Ik Baar Chale Aao
TuMko HuM Dil Mein Basa Lenge TuM Aao To Sahi
Suno Acha Nahi Lagta
humare Lub mohabbat main selay thay
humare Lub mohabbat main selay thay
wagerna tum se to kitne gelay thay
dilon main dorean itni nahi theen
bazaher hum main jitne faslay thay
humaray he laho se jull rahay thay
teri rahoon main jitne bhi deay thay
mohabbat k safar main kia bataon?
safar kia,bass junoon k silsilay thay
ossay malom kai hum oss ke khatir
charaghon ke terhan shub bher jalay thay
judai hum per bhi asaan nahi thi
hum apne aap se bechray houy thay
No comments:
Post a Comment