Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, June 13, 2011

Bhiige Gulaab jaisi, khoobsurat ho tum..

Bhiige Gulaab jaisi, khoobsurat ho tum..
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!



khawaabo mai ake methe, sapne dikhake,
Mujhe aane walei sunehre, lamhe dikhake,
kya Koi pari nai ki jaisi, Shararat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Yaadoon mai likhe gaye, ashaaro jaise,
Pyaar mai sajaayae huye, ghazlo jaise,
Kya Likhe jo sunehrai, khayalat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Teri baato mai wo, chashini haye rabba,
Dil mera unmein bas, doob jaaye rabaa,
kYa meri Liyeh bas, ek Masarrat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Chehre se joo, zahir hai wo chupau kaise,
tujhse kitni mohabbat hai, ye batau kaise,
kYa meri diL ki hi sirf, Riyasat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Bhaata nahi koi chehra, bass tere siwa,
koi nahi deewana, Tera ek mere siwa,
Kya fursat se tarashi gayi, Murat ho tum
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Jahaa bhi jaau, jidhar bhi jaau Main,
Mehfilo mai khudko, tanha paau Main,
Kya Meri zindagi ki abb, Zarurat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Jo bhatak jau, kahin anjaan raho mai,
Le jao manzil pai, bhar ke baho mai,
Kya Meri har justujo-e- taqat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!1


Zehnaseeb hu main, jo paya tujhko,
Har soo har lamha, sirf chaha tujhko,
Kya khuda ki mujhpe ki, rehmat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Aur kya kahu tumse jan-e-tamanna,
Tum hi ho sirf, meri dil-e-tamanna,
Kya Zindagi se lagayi, hui shart ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!



Jo kari Mujahid nai wo ibadat ho tum..
Haa meri jana, Meri mohabbat ho tum….!!!


Meri mohabbat ho tum, Meri mohabbat ho tum



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...