"Wo aksar fursat mai ik kaam karty hain
Bana ky aena humy salam karty hain
Bana ky aena humy salam karty hain
Uski masoom adaey usy ruswa na kar dy
wo likha darakhtoon pe mera Naam aam karty hain
wo likha darakhtoon pe mera Naam aam karty hain
Usky Mathay sy ubharta hai Subha ka Noor
aur andhery uski zulfoon mai aram karty hain
aur andhery uski zulfoon mai aram karty hain
Ankhoon sy wardatein karna hia uska paisha
Diloon ki choryaan wo Sar-e-aam karty hain
Diloon ki choryaan wo Sar-e-aam karty hain
Zamana Tera hi talabgar sahi lakin
Kuch Husun waly humara bhi ehteraam karty hain "
Kuch Husun waly humara bhi ehteraam karty hain "
No comments:
Post a Comment