Har ik zakham ka chehra gulab jaisa hai
Magar ye jagta manzar bhi khawab jaisa hai
Magar ye jagta manzar bhi khawab jaisa hai
Ye talkh talkh sa lehja ye taiz taiz c baat
Mizaj-e-yaar ka alam sharab jaisa hai
Mizaj-e-yaar ka alam sharab jaisa hai
Mera sakhun bhi chaman dar chaman shafaq ki phowar
tera Badan bhi gulab jaisa hai
tera Badan bhi gulab jaisa hai
Bara taveel nihayat haseen bht mubham
Mera sawal tumhary jawab jaisa hai
Mera sawal tumhary jawab jaisa hai
Tu zindgi ky haqayaq ki teh mai yun na utar
Ky ic nadi ka bahao chanab jaisa hai
Ky ic nadi ka bahao chanab jaisa hai
teri nazar hi nahi harf-e-ashna warna
Har ik chehra yahan per kitab jaisa hai
Har ik chehra yahan per kitab jaisa hai
Chamak uthy tu samandar bujhy tu rait ki lehar
mery khayal ka darya seraab jaisa hai
mery khayal ka darya seraab jaisa hai
Tery qareeb bhi reh kar na pa sakun tujh ko
Tery khayal ka jalwa habab jaisa hai..
Tery khayal ka jalwa habab jaisa hai..
plzzz mjy b sikha do gy.... aisi profile bnana..plxxx plxxxx ....
ReplyDelete