teri bataain hi sunanay aa'e
dost bhi dil hi dokhanay aa'e
phool khilte hein tu hum sochtae hein
teray aanay ke zamaanay aa'e
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunanay aa'e
ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum
kaun yeh boojH uthanay aa'e
ajnabi dost humein dekh keh hum
kuch tujhe yaad dilaanay aa'e
dil dharakta hai safr ke hungaam
kaash phir koi bulanay aa'e
ab tu rounay se bhi dil dukhta hai
shaid ab hosh thikanay aa'e
kya kahein phir koi busti ujri
laug kyooN jashun mananay aa'e
so raho maut ke pahloo mein Faraz
nind kis waqt na janay aa'e
No comments:
Post a Comment