Lafz, Pass_e_Lafz
Jo hum boltay hain, roltay hain
Kaun sa lafz hai, kholay ga jo dar maani ka
Iss ka pata Kaun karey ??
Tum to Khushboo ho, Sitaaron ki guzargaah ho Tum
Tum kahan aao gi iss dasht-e-purasrar ki pehnai mein
Kaise utro gi Tamannaon ki gehrai mein

Reh gaya Main !
So Aye Jaan-e-Wafa
Main to jo kuch hoon tumharey hi Kham-e-Chashm se hoon
Tum hi jab Lafz, Pass-e-Lafz se aagah Nahin !!
Kis tarah sehr-e-mafaheem ka darwaza khulay??
Lafz ki kokh mein Taseer kahan se utray??

Tum Meray saath ho, Hamraah Nahin !!
Kaun se khuwaab ke jagmag mein nihaan hain Hum Tum
Kaisey Girdaab-e-Tamanna mein rawaan hain Hum Tum
Lafz kay paar jo dekhain to Koi raah Nahin !!
Aur Tum Lafz, Pass-e-Lafz se aagaah Nahin !!

No comments:
Post a Comment