Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 6, 2011

kabhi main jo keh doo mohabbat hai tum se

kabhi main jo keh doo mohabbat hai tum se
to mujh ko khudara galat mat samajhna
ke meri zaroorat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
hai phoolon ki dali yeh bahein tumhari
hai khamosh jadoo nigahein tumhari
jo kantein ho sab apne daman mein rakh lon
sajaon main kalyoun se rahein tumhari
nazar se zamane ki khud ko bachana
kissi aur se dekho dil na lagana
ke meri amanat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
hai chehra tumhara ke din hai sunhera
aur us par yeh kali ghataon ka pehra.
gulabo sa nazuk mehekta badan hai
yeh lab hai tumhare ya khilta chaman hai.
bikheron jo zulfein to sharmaye badal
yeh zahid bhi dekhe to ho jaye pagal
oh pakiza murat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
jo ban ke kali muskurati hai aksar
shab - e - hejrr mein jo rulati hai aksar
jo lamho he lamho mein duniya badal de
jo shayer ko de jaye pehlo gazal ke
chupana jo chaha chpayee na jaye
bhulana jo chaha bhulayee na jaye
woh pehli muhabbat ho tum
bahut khubsurat ho tum.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...