kion zindagi lagti hai youn
ke ik safar anjan hai …?
ager maut main hai shash-o-panj
yeah bhi nahi asaan hai,
dil kabhi kerta hai yeah
bikhar jaoon youn toot ke …
na sambhal sakoon na simat sakoon
na kisi girift main aa sakoon
koye paas meray aye to
main door us se ja sakoon …
per toot jati khawhish yehi hai
ke apnay zabat pe maan hai,
kion zindagi lagti hai youn
ke ik safar anjan hai …
phir khayal ata hai ke
kaisi bhala yeah zindagi !!! …
aankhoon main na koye khawab hai
manzil nahi …bas saraab hai
jo sawal dasta hai her aik pal
wo khud hi apna jawab hai,
ke is rah se jo guzarta hai ..
wo her shakhs hi .. mehman hai,
kion zindagi lagti hai youn
ke ik safar anjan hai …
to ab karoon tu kiya karoon
yeah bhi sahi … wo bhi sahi …
ik jang zehan main hai jari
aur soch soch ke main haari
kion dil ko rokoon is qadar
kion iski khawhish kuchloon saari,
ke kabhi to zid karay ga na! …
jo mujh main chupa insan hai,
kion zindagi lagti hai youn
ke ik safar anjan hai …
No comments:
Post a Comment