Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, February 17, 2011

Tumhari is ada ka kya jawab du


Tumhari is ada ka kya jawab du,
Apne dost ko kya uphar du,
Koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
Jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Rab ne jab tujhe banaya hoga
Ek surur uske dil mein aya hoga,
Sochta hoga kya doonga tohfe mein tujhe,
Tab usne mujhe banaya hoga.
Kaash ham SMS hote,
Ek click mein tumhare paas hote,
Bhale tum hame delete kar dete,
Par kuch pal ke liye ham tumhara ehsas to hote…!
Tanhaion me unko hi yaad karte hain,
Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai,
Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai,
Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai
Kismat par aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majburian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai
Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.
darte hai aag se kahi jal na jaye
darte hai khwab se kahin toot na jaye
lekin sabse ziyada darte hai aapse
kahin aap hume bhool na jaye..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...