Pages

Wednesday, February 9, 2011

Meri Zindgii To Firaaq hAi Wo Azal Sey Dil Mein Makeen Sahii

Meri Zindgii To Firaaq hAi Wo Azal Sey Dil Mein Makeen Sahii
Wo Nigaah e ShOuq Sey dOor hAin Rag e jAan Sey Laakh Qareen Sahii

Hamein jAan Dainii hAi Eik Din Wo KiSsi Trah Wo Kahien Sahii
Hamein Aap KheenChiye Daar Par Jo Nahe kOii To Hamein Sahii


Gham e Zindgii Sey Faraar Kya Yeh SakOon kyOu Yeh Qarar Kya
Gham e Zindgii Bhe hAi Zindgii Jo Nahe hAi Chain To Nahien Sahii


Sar e tOor Ho Sar e HaShar Ho Hamein Intezar QabOol hAi
Wo Kabhe Millien Wo Khien Millien Wo Kabhe Sahii Wo Khien Sahii


Na Ho Un Pey Jo Mera Bas Nahe K Yeh AaShiQii hAi Hawas Nahe
Main Unhii Ka Tha Main Unhii Ka hOn Wo Meray Nahe To Nahie'n Sahii


Jo Ho FaiSla Wo SUnaye Issay HaShar Par Na Uthaiiye
Jo Karien Gey hUm Sitam Whaan Wo Abhe Sahii Wo Yahiie'n Sahii


Usey Dekhnay Kii Jo Lou Lagii To "Naseer" Dekh Hii Lien Gey hUm
Wo Hazar Aankh Sey dOor hO Wo Hazar Parda NaShee'n Sahii

No comments:

Post a Comment